zindagi aaina hai aaina-arai hai
zindagī ā.īna hai ā.īna-ārā.ī hai
ajnabī bhī hai vahī jis se shanāsā.ī hai
sañg-dil sāmne aatā hai to ye sochtā huuñ
aarzū husn kī dīvār se Takrā.ī hai
aaj kī raat bhī kartā hai koī kufr kī baat
chāñd ke phuul meñ shabnam kī sharāb aa.ī hai
kis ko is daur meñ hai fursat-e-ishq-e-ḳhūbāñ
aag tere lab o ruḳhsār ne barsā.ī hai
tū nahīñ hai to har ik jur.a-e-mahtāb-sifat
yaad kī aañkh se Tapkī huī tanhā.ī hai
dil vo sahrā hai jahāñ hasrat-e-sāya bhī nahīñ
dil vo duniyā hai jahāñ rañg hai ra.anā.ī hai
zindagi aaina hai aaina-arai hai
ajnabi bhi hai wahi jis se shanasai hai
sang-dil samne aata hai to ye sochta hun
aarzu husn ki diwar se Takrai hai
aaj ki raat bhi karta hai koi kufr ki baat
chand ke phul mein shabnam ki sharab aai hai
kis ko is daur mein hai fursat-e-ishq-e-KHuban
aag tere lab o ruKHsar ne barsai hai
tu nahin hai to har ek jura-e-mahtab-sifat
yaad ki aankh se Tapki hui tanhai hai
dil wo sahra hai jahan hasrat-e-saya bhi nahin
dil wo duniya hai jahan rang hai ranai hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.