Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi aur ho ruswa nahin dekha jata

Hayat Lakhnavi

zindagi aur ho ruswa nahin dekha jata

Hayat Lakhnavi

MORE BYHayat Lakhnavi

    zindagī aur ho rusvā nahīñ dekhā jaatā

    mujh se ab apnā tamāshā nahīñ dekhā jaatā

    pahle āñkhoñ meñ sajātā huuñ tirī rā'nā.ī

    mujh se manzar koī tanhā nahīñ dekhā jaatā

    aa.ina qad ke barābar ho kabhī ḳhvāhish thī

    ab ye 'ālam hai ki chehra nahīñ dekhā jaatā

    merī āñkhoñ meñ hai kis pyaas manzar-nāma

    mujh se bahtā huā dariyā nahīñ dekhā jaatā

    husn-e-tā’bīr se 'unvān nahīñ miltā 'hayāt'

    ḳhvāb koī bhī adhūrā nahīñ dekhā jaatā

    zindagi aur ho ruswa nahin dekha jata

    mujh se ab apna tamasha nahin dekha jata

    pahle aankhon mein sajata hun teri ra'nai

    mujh se manzar koi tanha nahin dekha jata

    aaina qad ke barabar ho kabhi KHwahish thi

    ab ye 'alam hai ki chehra nahin dekha jata

    meri aankhon mein hai kis pyas ka manzar-nama

    mujh se bahta hua dariya nahin dekha jata

    husn-e-ta’bir se 'unwan nahin milta 'hayat'

    KHwab koi bhi adhura nahin dekha jata

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now