zindagi bas wo zindagi hogi
zindagī bas vo zindagī hogī
jo kisī hijr meñ kaTī hogī
umr-e-rafta ke ġham meñ kyoñ ro.eñ
terī dahlīz par paḌī hogī
aap kī diid aur chashm-e-faqīr
kis qayāmat kī vo ghaḌī hogī
chāroñ jānib se tiir aa rahe the
shist to aap ne bhī lī hogī
mujh pe āvāze kasne vāloñ meñ
ik numāyāñ sadā tirī hogī
raunaq-e-rāh meñ na gum honā
aglī manzil bahut kaḌī hogī
dil kī sham.eñ jalā rakho pyāre
aadh raste meñ raat bhī hogī
ham jise maut gin rahe haiñ yahāñ
duuje aalam meñ zindagī hogī
zindagi bas wo zindagi hogi
jo kisi hijr mein kaTi hogi
umr-e-rafta ke gham mein kyon roen
teri dahliz par paDi hogi
aap ki did aur chashm-e-faqir
kis qayamat ki wo ghaDi hogi
chaaron jaanib se tir aa rahe the
shist to aap ne bhi li hogi
mujh pe aawaze kasne walon mein
ek numayan sada teri hogi
raunaq-e-rah mein na gum hona
agli manzil bahut kaDi hogi
dil ki shamen jala rakho pyare
aadh raste mein raat bhi hogi
hum jise maut gin rahe hain yahan
duje aalam mein zindagi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.