zindagī bhar jinhoñ ne dekhe ḳhvāb
un ko baḳhshe ga.e haiñ phir se ḳhvāb
din añdherā dikhā.ī detā hai
raat dekhe the jagmagāte ḳhvāb
us ne aise bhulā diyā hai mujhe
yaad rahte nahīñ haiñ jaise ḳhvāb
raat kī baḳhshisheñ to thiiñ mujh par
roz-e-raushan ne bhī dikhā.e ḳhvāb
jin kī ta.abīr hī nahīñ koī
maiñ ne dekhe haiñ aksar aise ḳhvāb
dil kā har zaḳhm ho gayā taaza
aa ga.e yaad bhūle-bisre ḳhvāb
ishq kī ye alāmateñ to nahīñ
dil hai bechain aañkh hai be-ḳhvāb
mashġhala hai mirā ye ai 'ābid'
dekhnā nit-na.e sunahre ḳhvāb
zindagi bhar jinhon ne dekhe KHwab
un ko baKHshe gae hain phir se KHwab
din andhera dikhai deta hai
raat dekhe the jagmagate KHwab
us ne aise bhula diya hai mujhe
yaad rahte nahin hain jaise KHwab
raat ki baKHshishen to thin mujh par
roz-e-raushan ne bhi dikhae KHwab
jin ki tabir hi nahin koi
main ne dekhe hain aksar aise KHwab
dil ka har zaKHm ho gaya taza
aa gae yaad bhule-bisre KHwab
ishq ki ye alamaten to nahin
dil hai bechain aankh hai be-KHwab
mashghala hai mera ye ai 'abid'
dekhna nit-nae sunahre KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.