zindagi chonchle na kar humse
zindagī choñchle na kar ham se
dekh pachhtā.egī tū Dar ham se
zaḳhm-ḳhurdoñ ke jaane se paidā
ho gayā hai ḳhalā to bhar ham se
log sirhānoñ meñ uḌasne lage
pūchh mat hāl-e-bāl-o-par ham se
gir ga.ī raushnā.ī kī botal
terā kāġhaz huā hai tar ham se
ek din hāñkā thā parinde ko
abhī nārāz hai shajar ham se
rab raqīboñ ko baḳhshe to baḳhshe
nahīñ hotā hai darguzar ham se
zindagī kā mo.āmla hai yahī
ham safar se haiñ aur safar ham se
sher likh ke 'shafaq' yuuñ lagtā hai
ho gayā zer ik zabar ham se
zindagi chonchle na kar hum se
dekh pachhtaegi tu Dar hum se
zaKHm-KHurdon ke jaane se paida
ho gaya hai KHala to bhar hum se
log sirhanon mein uDasne lage
puchh mat haal-e-baal-o-par hum se
gir gai raushnai ki botal
tera kaghaz hua hai tar hum se
ek din hanka tha parinde ko
abhi naraaz hai shajar hum se
rab raqibon ko baKHshe to baKHshe
nahin hota hai darguzar hum se
zindagi ka moamla hai yahi
hum safar se hain aur safar hum se
sher likh ke 'shafaq' yun lagta hai
ho gaya zer ek zabar hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.