zindagi daw pe har aan lagi rahti hai
zindagī daav pe har aan lagī rahtī hai
dil kī baazī meñ sadā jaan lagī rahtī hai
haiñ tire ma.arka-ārā ki tamāshā.ī haiñ
bhiiḌ kaisī sar-e-maidān lagī rahtī hai
koī bilqīs nazar aa.e na aa.e phir bhī
khoj meñ rūh-e-sulaimān lagī rahtī hai
ḳhalq ummāl se nālāñ hai magar yāroñ ko
fikr-e-ḳhush-nūdī-e-sultān lagī rahtī hai
baḳht-sāzān-e-re.āyā meñ kashish hai kitnī
har nazar jānib-e-aivān lagī rahtī hai
kyoñ badaltā nahīñ tū is ko tavānā.ī meñ
aag to ai dil-e-hairān lagī rahtī hai
aadmī shauq se fāriġh nahīñ rahtā 'gulzār'
dhun koī ziist ke daurān lagī rahtī hai
zindagi daw pe har aan lagi rahti hai
dil ki bazi mein sada jaan lagi rahti hai
hain tere marka-ara ki tamashai hain
bhiD kaisi sar-e-maidan lagi rahti hai
koi bilqis nazar aae na aae phir bhi
khoj mein ruh-e-sulaiman lagi rahti hai
KHalq ummal se nalan hai magar yaron ko
fikr-e-KHush-nudi-e-sultan lagi rahti hai
baKHt-sazan-e-reaya mein kashish hai kitni
har nazar jaanib-e-aiwan lagi rahti hai
kyon badalta nahin tu is ko tawanai mein
aag to ai dil-e-hairan lagi rahti hai
aadmi shauq se farigh nahin rahta 'gulzar'
dhun koi zist ke dauran lagi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.