zindagi dard se qarib rahe
zindagī dard se qarīb rahe
ġham kī daulat mujhe nasīb rahe
mausam aisā bhī ho koī sayyād
baaġh jab vaqf-e-andalīb rahe
muskurā do kisī kī mayyat par
maut kyoñ tīra-o-muhīb rahe
vasl ko vasl jānñe ke liye
zīnat-e-bazm ik raqīb rahe
jaan kā khel khelne vaalo
imtihāñ ko dar-e-habīb rahe
jaag kar maiñ ne kaaT diiñ rāteñ
niiñd meñ gum magar nasīb rahe
kis ne 'altāf' dī duā mujh ko
dard se zindagī qarīb rahe
zindagi dard se qarib rahe
gham ki daulat mujhe nasib rahe
mausam aisa bhi ho koi sayyaad
bagh jab waqf-e-andalib rahe
muskura do kisi ki mayyat par
maut kyon tira-o-muhib rahe
wasl ko wasl jaanne ke liye
zinat-e-bazm ek raqib rahe
jaan ka khel khelne walo
imtihan ko dar-e-habib rahe
jag kar main ne kaT din raaten
nind mein gum magar nasib rahe
kis ne 'altaf' di dua mujh ko
dard se zindagi qarib rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.