zindagi dasht mein guzari hai
zindagī dasht meñ guzārī hai
jis kā hāsil ye burdbārī hai
maut kā naam le rahe ho tum
zindagī kab bhalā hamārī hai
shaam vo ghar ko der se pohñchā
jis kī āñkhoñ meñ ḳhvāb jaarī hai
laakh rakkhī haiñ hasrateñ tum ne
jaane kis baat kī ḳhumārī hai
ham zamāne ko paḌhne nikle the
ab to ḳhud dāstāñ hamārī hai
band darvāze hī mileñge tumheñ
is qadar mujh pe ḳhauf taarī hai
sach kā parda uThā to ye jaanā
zindagī jhuuT meñ guzārī hai
jis kā hāsil bhī ḳhud meñ lā-hāsil
is se behtar to jāñ-nisārī hai
jab tamanna hī uTh ga.ī dil se
phir bhī kyoñ justujū tumhārī hai
tū ne rakkhā hai sar to batlā duuñ
mere shānoñ pe bojh bhārī hai
sab ko hañstā dikhā hasīñ chehra
dil ke andar to āh-o-zārī hai
zindagi dasht mein guzari hai
jis ka hasil ye burdbari hai
maut ka nam le rahe ho tum
zindagi kab bhala hamari hai
sham wo ghar ko der se pohncha
jis ki aankhon mein KHwab jari hai
lakh rakkhi hain hasraten tum ne
jaane kis baat ki KHumari hai
hum zamane ko paDhne nikle the
ab to KHud dastan hamari hai
band darwaze hi milenge tumhein
is qadar mujh pe KHauf tari hai
sach ka parda uTha to ye jaana
zindagi jhuT mein guzari hai
jis ka hasil bhi KHud mein la-hasil
is se behtar to jaan-nisari hai
jab tamanna hi uTh gai dil se
phir bhi kyon justuju tumhaari hai
tu ne rakkha hai sar to batla dun
mere shanon pe bojh bhaari hai
sab ko hansta dikha hasin chehra
dil ke andar to aah-o-zari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.