zindagi dauDti hai saDkon par
zindagī dauḌtī hai saḌkoñ par
aur phir maut bhī hai saḌkoñ par
din-dahāḌe paḌā hai ik zaḳhmī
kyā ajab tīrgī hai saḌkoñ par
log bas be-dilī se chalte haiñ
ya.anī bechārgī hai saḌkoñ par
umr ghar meñ to us kī kam guzrī
aur ziyāda kaTī hai saḌkoñ par
muflisī kaisī kaisī shakloñ meñ
tū bhī aksar milī hai saḌkoñ par
chalte ham tum bhī haiñ magar 'farhat'
hoḌ raftār kī hai saḌkoñ par
zindagi dauDti hai saDkon par
aur phir maut bhi hai saDkon par
din-dahaDe paDa hai ek zaKHmi
kya ajab tirgi hai saDkon par
log bas be-dili se chalte hain
yani bechaargi hai saDkon par
umr ghar mein to us ki kam guzri
aur ziyaada kaTi hai saDkon par
muflisi kaisi kaisi shaklon mein
tu bhi aksar mili hai saDkon par
chalte hum tum bhi hain magar 'farhat'
hoD raftar ki hai saDkon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.