zindagi dhup mein basar ki hai
zindagī dhuup meñ basar kī hai
baat lambī thī muḳhtasar kī hai
aa hī jā.egā apne matlab pe
baat pahle idhar udhar kī hai
saañp dekhe haiñ āstīnoñ meñ
kaisī manzil ye aaj sar kī hai
rañj ko mujh pe jo tasarruf hai
aisā lagtā hai baat ghar kī hai
darmiyāñ koī rāsta hī nahīñ
baat ik dūsre ke sar kī hai
ek tasvīr kī tarah chup thā
aur baat kis qadar kī hai
zindagī ab bhī hai 'sabā' dilkash
jo kamī hai tirī nazar kī hai
zindagi dhup mein basar ki hai
baat lambi thi muKHtasar ki hai
aa hi jaega apne matlab pe
baat pahle idhar udhar ki hai
sanp dekhe hain aastinon mein
kaisi manzil ye aaj sar ki hai
ranj ko mujh pe jo tasarruf hai
aisa lagta hai baat ghar ki hai
darmiyan koi rasta hi nahin
baat ek dusre ke sar ki hai
ek taswir ki tarah chup tha
aur baat kis qadar ki hai
zindagi ab bhi hai 'saba' dilkash
jo kami hai teri nazar ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.