zindagi do ghaDi ki masti hai
zindagi do ghaDi ki masti hai
Shoaib Ahmad Merathi Nudrat
MORE BYShoaib Ahmad Merathi Nudrat
zindagī do ghaḌī kī mastī hai
maut ta.abīr-e-ḳhvāb-e-hastī hai
har nafas sirf ġham-parastī hai
merī hastī ajiib hastī hai
fasl-e-gul hai havā meñ mastī hai
āj-kal lutf-e-mai-parastī hai
āsmāñ par dimāġh-e-hastī hai
ye bulandī nahīñ hai pastī hai
ye javānī tirī ma.āz-allāh
laakh mastī kī ek mastī hai
tere kūche se baiTh kar uThnā
kasar-e-shān-e-vafā-parastī hai
jins-e-dād-e-vafā mohabbat meñ
jaan de kar mile to sastī hai
chashmak-e-barq tābish-e-sho.ala
dil kī hastī bhī koī hastī hai
tum ne dil muskurā ke chhīn liyā
ye adā hai ki chīra-dastī hai
hoñ haqīqat-shanās agar āñkheñ
but-parastī ḳhudā-parastī hai
dil tire vasl ke liye betāb
aañkh dīdār ko tarastī hai
be-ḳhudī ishq kā hai sarmāya
husn kī kā.enāt mastī hai
dil meñ ghuTtā rahegā dil kā dhuāñ
ye ghaTā khul ke kab barastī hai
chheḌtā huuñ kisī sitamgar ko
kyā mazāq-e-jafā-parastī hai
jis ko vīrāna kahte haiñ 'nudrat'
vo bhī vahshat-zadoñ kī bastī hai
zindagi do ghaDi ki masti hai
maut tabir-e-KHwab-e-hasti hai
har nafas sirf gham-parasti hai
meri hasti ajib hasti hai
fasl-e-gul hai hawa mein masti hai
aaj-kal lutf-e-mai-parasti hai
aasman par dimagh-e-hasti hai
ye bulandi nahin hai pasti hai
ye jawani teri maaz-allah
lakh masti ki ek masti hai
tere kuche se baiTh kar uThna
kasar-e-shan-e-wafa-parasti hai
jins-e-dad-e-wafa mohabbat mein
jaan de kar mile to sasti hai
chashmak-e-barq tabish-e-shoala
dil ki hasti bhi koi hasti hai
tum ne dil muskura ke chhin liya
ye ada hai ki chira-dasti hai
hon haqiqat-shanas agar aankhen
but-parasti KHuda-parasti hai
dil tere wasl ke liye betab
aankh didar ko tarasti hai
be-KHudi ishq ka hai sarmaya
husn ki kaenat masti hai
dil mein ghuTta rahega dil ka dhuan
ye ghaTa khul ke kab barasti hai
chheDta hun kisi sitamgar ko
kya mazaq-e-jafa-parasti hai
jis ko virana kahte hain 'nudrat'
wo bhi wahshat-zadon ki basti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.