zindagi dushwar hogi ye kabhi socha na tha
zindagī dushvār hogī ye kabhī sochā na thā
vo bagūle ġham ke uTThe jin kā andesha na thā
sāmne tum aa ga.e ho to batā duuñ jān-e-jāñ
jaise dil dhaḌkā thā ab ki vaise dil dhaḌkā na thā
ye irāda kar liyā thā ham na bichhḌeñge kabhī
TūTeñge ik pal meñ rishte ye kabhī sochā na thā
yād-e-māzī miT rahī hai vaqt kī raftār se
ab tasavvur meñ hamāre koī bhī chehra na thā
saḳht hairat ho rahī hai dekh kar apnā vajūd
dhuup meñ the sab ke saaye par mirā saayā na thā
shauq-e-manzil dekh merī dekh merā hausla
shahr-e-dil ke rāstoñ meñ maiñ kabhī Thahrā na thā
'qalb' ko sahrā-navardī raas kyā aatī bhalā
vo kabhī āvārgī meñ dar-ba-dar bhaTkā na thā
zindagi dushwar hogi ye kabhi socha na tha
wo bagule gham ke uTThe jin ka andesha na tha
samne tum aa gae ho to bata dun jaan-e-jaan
jaise dil dhaDka tha ab ki waise dil dhaDka na tha
ye irada kar liya tha hum na bichhDenge kabhi
TuTenge ek pal mein rishte ye kabhi socha na tha
yaad-e-mazi miT rahi hai waqt ki raftar se
ab tasawwur mein hamare koi bhi chehra na tha
saKHt hairat ho rahi hai dekh kar apna wajud
dhup mein the sab ke saye par mera saya na tha
shauq-e-manzil dekh meri dekh mera hausla
shahr-e-dil ke raston mein main kabhi Thahra na tha
'qalb' ko sahra-nawardi ras kya aati bhala
wo kabhi aawargi mein dar-ba-dar bhaTka na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.