zindagī ek aziyyat hai mujhe
tujh se milne kī zarūrat hai mujhe
dil meñ har lahza hai sirf ek ḳhayāl
tujh se kis darja mohabbat hai mujhe
tirī sūrat tirī zulfeñ malbūs
bas inhī chīzoñ se raġhbat hai mujhe
mujh pe ab faash huā rāz-e-hayāt
ziist ab se tirī chāhat hai mujhe
tez hai vaqt kī raftār bahut
aur bahut thoḌī sī fursat hai mujhe
saañs jo biit gayā biit gayā
bas isī baat kī kulfat hai mujhe
aah merī hai tabassum terā
is liye dard bhī rāhat hai mujhe
ab nahīñ dil meñ mire shauq-e-visāl
ab har ik shai se farāġhat hai mujhe
ab na vo josh-e-tamannā baaqī
ab na vo ishq kī vahshat hai mujhe
ab yūñhī umr guzar jā.egī
ab yahī baat ġhanīmat hai mujhe
zindagi ek aziyyat hai mujhe
tujh se milne ki zarurat hai mujhe
dil mein har lahza hai sirf ek KHayal
tujh se kis darja mohabbat hai mujhe
teri surat teri zulfen malbus
bas inhi chizon se raghbat hai mujhe
mujh pe ab fash hua raaz-e-hayat
zist ab se teri chahat hai mujhe
tez hai waqt ki raftar bahut
aur bahut thoDi si fursat hai mujhe
sans jo bit gaya bit gaya
bas isi baat ki kulfat hai mujhe
aah meri hai tabassum tera
is liye dard bhi rahat hai mujhe
ab nahin dil mein mere shauq-e-visal
ab har ek shai se faraghat hai mujhe
ab na wo josh-e-tamanna baqi
ab na wo ishq ki wahshat hai mujhe
ab yunhi umr guzar jaegi
ab yahi baat ghanimat hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.