zindagi ek KHwab hoti hai
zindagī ek ḳhvāb hotī hai
ye haqīqat sarāb hotī hai
jab tasavvur meñ aap hote haiñ
raqs meñ kā.enāt hotī hai
sāmne jab bhī vo nahīñ hote
har ghaḌī ik azaab hotī hai
yaad un kī siyāh rātoñ meñ
rashk-e-sad-māhtāb hotī hai
ye bhī hotā hai pursish-e-ġham se
aur hālat ḳharāb hotī hai
zindagi ek KHwab hoti hai
ye haqiqat sarab hoti hai
jab tasawwur mein aap hote hain
raqs mein kaenat hoti hai
samne jab bhi wo nahin hote
har ghaDi ek azab hoti hai
yaad un ki siyah raaton mein
rashk-e-sad-mahtab hoti hai
ye bhi hota hai pursish-e-gham se
aur haalat KHarab hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.