zindagi ek KHwab lagti hai
zindagī ek ḳhvāb lagtī hai
har haqīqat sarāb lagtī hai
sā.at-e-qurb thī ki mauj-e-bahār
yaad us kī gulāb lagtī hai
dāstāñ merī sun sako to suno
dard-o-ġham kī kitāb lagtī hai
is qadar pyaar is qadar nafrat
terī fitrat habāb lagtī hai
ziist laTkī hai ab salīboñ par
har tamanna azaab lagtī hai
chehre kumhlā rahe haiñ kaliyoñ ke
niyyat-e-gul ḳharāb lagtī hai
'āsima' har kitāb-e-zīst mujhe
maut kā intisāb lagtī hai
zindagi ek KHwab lagti hai
har haqiqat sarab lagti hai
saat-e-qurb thi ki mauj-e-bahaar
yaad us ki gulab lagti hai
dastan meri sun sako to suno
dard-o-gham ki kitab lagti hai
is qadar pyar is qadar nafrat
teri fitrat habab lagti hai
zist laTki hai ab salibon par
har tamanna azab lagti hai
chehre kumhla rahe hain kaliyon ke
niyyat-e-gul KHarab lagti hai
'asima' har kitab-e-zist mujhe
maut ka intisab lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.