zindagi ghamgin sahi gati to hai
zindagī ġhamgīñ sahī gaatī to hai
ek dhokā hī sahī bhātī to hai
nasl-e-ādam Thokareñ khātī to hai
par masāfat kā sila paatī to hai
chhīn kar sukh chain har insān kā
vaqt kā mafhūm samjhātī to hai
bhuul kar rasta bhikāran kī tarah
zindagī bhī Thokareñ khātī to hai
chhal kapaT se ek rāvan kī tarah
har kisī ke dil ko taḌpātī to hai
maut bhī hai har bashar par 'mehrbāñ'
har kisī ko ek din aatī to hai
zindagi ghamgin sahi gati to hai
ek dhoka hi sahi bhati to hai
nasl-e-adam Thokaren khati to hai
par masafat ka sila pati to hai
chhin kar sukh chain har insan ka
waqt ka mafhum samjhati to hai
bhul kar rasta bhikaran ki tarah
zindagi bhi Thokaren khati to hai
chhal kapaT se ek rawan ki tarah
har kisi ke dil ko taDpati to hai
maut bhi hai har bashar par 'mehrban'
har kisi ko ek din aati to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.