zindagi gar de KHuda aalam naya paida karun
zindagī gar de ḳhudā aalam nayā paidā karūñ
roz ho ho kar fanā rañg-e-baqā paidā karūñ
jalva-gāh-e-nāz meñ kyoñ kar rahūñ sābit-qadam
har jafā kā hai taqāzā ik vafā paidā karūñ
hāsil-e-sad-zindagānī ik matā-e-dard hai
hazrat-e-nāseh ko ye zid hai davā paidā karūñ
yaañ to iz.hār-e-tamannā vaañ ḳhamoshī kī adā
mudda.ā ye hai dil be-mudda.ā paidā karūñ
ek hī kā husn hai jalva-numā kaunain meñ
dūsrā to jab kahūñ jab dūsrā paidā karūñ
chārasāz dard-e-dil tū hī hai rab-e-be-niyāz
tere hote dūsrā kyoñ ai ḳhudā paidā karūñ
dil kā armāñ ek se hai ek baḌh kar intiḳhāb
kaun sā hamdam miTā.ūñ kaun sā paidā karūñ
sar ke da.ave sab miTā kar dil meñ dekhūñ rū-e-dost
ḳhud-numā.ī ho chukī qibla-numā paidā karūñ
husn-e-roz-afzūñ kī jalve haiñ ġhazab kī dilrubā
kis tarah har roz 'hasrat' dil nayā paidā karūñ
zindagi gar de KHuda aalam naya paida karun
roz ho ho kar fana rang-e-baqa paida karun
jalwa-gah-e-naz mein kyon kar rahun sabit-qadam
har jafa ka hai taqaza ek wafa paida karun
hasil-e-sad-zindagani ek mata-e-dard hai
hazrat-e-naseh ko ye zid hai dawa paida karun
yan to izhaar-e-tamanna wan KHamoshi ki ada
muddaa ye hai dil be-muddaa paida karun
ek hi ka husn hai jalwa-numa kaunain mein
dusra to jab kahun jab dusra paida karun
chaarasaz dard-e-dil tu hi hai rab-e-be-niyaz
tere hote dusra kyon ai KHuda paida karun
dil ka arman ek se hai ek baDh kar intiKHab
kaun sa hamdam miTaun kaun sa paida karun
sar ke dawe sab miTa kar dil mein dekhun ru-e-dost
KHud-numai ho chuki qibla-numa paida karun
husn-e-roz-afzun ki jalwe hain ghazab ki dilruba
kis tarah har roz 'hasrat' dil naya paida karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.