zindagi gulshan mein bhi dushwar hai tere baghair
zindagi gulshan mein bhi dushwar hai tere baghair
Siddiq ahmad Nizami
MORE BYSiddiq ahmad Nizami
Interesting Fact
18 June 1959
zindagī gulshan meñ bhī dushvār hai tere baġhair
is chaman kā phuul bhī ik ḳhaar hai tere baġhair
zindagānī ishq kī nākāmiyoñ meñ sarf kī
zindagī kā lutf bhī dushvār hai tere baġhair
terī sūrat sāmne hotī to maiñ kahtā ġhazal
mujh pe zauq-e-shā.irī ik baar hai tere baġhair
sāqiyā jab tū nahīñ maiñ ne bhī chhoḌī mai-kashī
mai-kade se mai se bhī inkār hai tere baġhair
kis kī sūrat dekh kar paa.e qarār-o-chain dil
iid bhī 'siddīq' kī be-kār hai tere baġhair
zindagi gulshan mein bhi dushwar hai tere baghair
is chaman ka phul bhi ek KHar hai tere baghair
zindagani ishq ki nakaamiyon mein sarf ki
zindagi ka lutf bhi dushwar hai tere baghair
teri surat samne hoti to main kahta ghazal
mujh pe zauq-e-shairi ek bar hai tere baghair
saqiya jab tu nahin main ne bhi chhoDi mai-kashi
mai-kade se mai se bhi inkar hai tere baghair
kis ki surat dekh kar pae qarar-o-chain dil
id bhi 'siddiq' ki be-kar hai tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.