zindagi hai ishq meri ruh KHuddari meri
zindagī hai ishq merī ruuh ḳhuddārī mirī
vā-e-majbūrī mirī sad-haif muḳhtārī mirī
garche tum ho hāsil-e-hastī magar ai jān-e-zīst
daulat-e-dīdār se baḌh kar hai nādārī mirī
tum ko nazroñ se ba-majbūrī girā saktā to huuñ
jaane phir kyā rañg dikhlā.e ye muḳhtārī mirī
ishq ne kar dī hai mujh par qismat dil āshkār
kyā jhukegī ab tumhāre dar pe ḳhuddārī mirī
zarra zarra saañs letā maañ ko aatā hai nazar
merī hastī talḳh kar degī ye bedārī mirī
zindagi hai ishq meri ruh KHuddari meri
wa-e-majburi meri sad-haif muKHtari meri
garche tum ho hasil-e-hasti magar ai jaan-e-zist
daulat-e-didar se baDh kar hai nadari meri
tum ko nazron se ba-majburi gira sakta to hun
jaane phir kya rang dikhlae ye muKHtari meri
ishq ne kar di hai mujh par qismat dil aashkar
kya jhukegi ab tumhaare dar pe KHuddari meri
zarra zarra sans leta man ko aata hai nazar
meri hasti talKH kar degi ye bedari meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.