zindagi hai muKHtasar aahista chal
zindagī hai muḳhtasar āhista chal
kaT hī jā.egā safar āhista chal
ek andhī dauḌ hai kis ko ḳhabar
kaun hai kis raah par āhista chal
dīda-e-hairāñ ko ik manzar bahut
yuuñ hī nazzāra na kar āhista chal
tez-gāmī jis shikam kī aag hai
us se bachnā hai hunar āhista chal
jo tag-o-dau se tirī hāsil huā
rakh kuchh us kī bhī ḳhabar āhista chal
roz o shab yuuñ vaqt kā dāman na kheñch
do ghaḌī ārām kar āhista chal
zindagi hai muKHtasar aahista chal
kaT hi jaega safar aahista chal
ek andhi dauD hai kis ko KHabar
kaun hai kis rah par aahista chal
dida-e-hairan ko ek manzar bahut
yun hi nazzara na kar aahista chal
tez-gami jis shikam ki aag hai
us se bachna hai hunar aahista chal
jo tag-o-dau se teri hasil hua
rakh kuchh us ki bhi KHabar aahista chal
roz o shab yun waqt ka daman na khench
do ghaDi aaram kar aahista chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.