zindagi hum pe mehrban na hui
zindagī ham pe mehrbāñ na huī
phir bhī ummīd bad-gumāñ na huī
pañkh TuuTe haiñ go uḌānoñ meñ
chashm mahrūm-e-āsmāñ na huī
dil pe garche sukūt chhāyā thā
aatmā apnī be zabāñ na huī
jaarī thā yuuñ safar havādis meñ
sust raftār-e-kārvāñ na huī
paañv chhalnī hue magar 'bismil'
daulat-e-azm nā-tavāñ na huī
zindagi hum pe mehrban na hui
phir bhi ummid bad-guman na hui
pankh TuTe hain go uDanon mein
chashm mahrum-e-asman na hui
dil pe garche sukut chhaya tha
aatma apni be zaban na hui
jari tha yun safar hawadis mein
sust raftar-e-karwan na hui
panw chhalni hue magar 'bismil'
daulat-e-azm na-tawan na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.