zindagi hi se guzar jaenge
zindagī hī se guzar jā.eñge
tujh se bichhḌeñge to mar jā.eñge
ḳhushk patte haiñ havā kyā deñge
Thes lagte hī bikhar jā.eñge
sub.h nikle haiñ jo apne ghar se
kyā ḳhabar shaam ko ghar jā.eñge
ab shikasta hai kitāb-e-hastī
ab ye aurāq bikhar jā.eñge
mar ke bhī mar nahīñ sakte 'rahmat'
ham kitāboñ meñ bikhar jā.eñge
zindagi hi se guzar jaenge
tujh se bichhDenge to mar jaenge
KHushk patte hain hawa kya denge
Thes lagte hi bikhar jaenge
subh nikle hain jo apne ghar se
kya KHabar sham ko ghar jaenge
ab shikasta hai kitab-e-hasti
ab ye auraq bikhar jaenge
mar ke bhi mar nahin sakte 'rahmat'
hum kitabon mein bikhar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.