zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi
zindagī husn se ta.abīr bhī ho saktī thī
chāñdnī dasht pe tahrīr bhī ho saktī thī
be-bas jāda-e-pur-ḳhār pe laa.ī mujh ko
bebasī paañv kī zanjīr bhī ho saktī thī
ek āvāz-e-tilismāt meñ Duubī āvāz
aisī āvāz ki tasvīr bhī ho saktī thī
ek saaya pas-e-dīvār bhī lahrātā thā
sansanī itnī hama-gīr bhī ho saktī thī
bhāgte bhāgte sab rañg sameTe ham ne
vaqt kā pher hai tāḳhīr bhī ho saktī thī
zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi
chandni dasht pe tahrir bhi ho sakti thi
be-bas jada-e-pur-KHar pe lai mujh ko
bebasi panw ki zanjir bhi ho sakti thi
ek aawaz-e-tilismat mein Dubi aawaz
aisi aawaz ki taswir bhi ho sakti thi
ek saya pas-e-diwar bhi lahraata tha
sansani itni hama-gir bhi ho sakti thi
bhagte bhagte sab rang sameTe hum ne
waqt ka pher hai taKHir bhi ho sakti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.