zindagi ek dard-o-gham ka saz hai
zindagī ik dard-o-ġham kā saaz hai
maut jis kī āḳhirī āvāz hai
vaañ to ā.īna hai mashq-e-nāz hai
muntashir yaañ zindagī kā saaz hai
dil hamārā dard se ḳhālī na kar
ye hamārī zindagī kā raaz hai
aaj phir barseñge naġhme bazm meñ
aaj phir hāthoñ pe us ke saaz hai
har nishāna dil pe lagtā hai mire
kaun kohna-mashq tīr-andāz hai
sun rahā huuñ dil se naġhmoñ kī sadā
dost se miltī huī āvāz hai
naġhma-bāz ik zindagī kā saaz hai
dahr kā har zarra ham-āvāz hai
jal rahā hai jism kā ḳhākī qafas
tā.ir-e-jāñ mā.il-e-parvāz hai
ḳhatm kar 'ālī' fasāna ḳhatm kar
sunñe vaalā mahv-e-ḳhvāb-e-nāz hai
zindagi ek dard-o-gham ka saz hai
maut jis ki aaKHiri aawaz hai
wan to aaina hai mashq-e-naz hai
muntashir yan zindagi ka saz hai
dil hamara dard se KHali na kar
ye hamari zindagi ka raaz hai
aaj phir barsenge naghme bazm mein
aaj phir hathon pe us ke saz hai
har nishana dil pe lagta hai mere
kaun kohna-mashq tir-andaz hai
sun raha hun dil se naghmon ki sada
dost se milti hui aawaz hai
naghma-baz ek zindagi ka saz hai
dahr ka har zarra ham-awaz hai
jal raha hai jism ka KHaki qafas
tair-e-jaan mail-e-parwaz hai
KHatm kar 'ali' fasana KHatm kar
sunne wala mahw-e-KHwab-e-naz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.