zindagi ek safar mein guzri hai
zindagī ik safar meñ guzrī hai
'umr bhī 'umr bhar meñ guzrī hai
chāñd kī bevafā.ī ke sadqe
chāñdnī dopahar meñ guzrī hai
hasrat-e-rabt dil meñ le kar ke
shaam vā'doñ ke ghar meñ guzrī hai
ik qasīda ġhazal pe ruḳh karūñ to
har ḳhushī chashm-e-tar meñ guzrī hai
ġham-zada tāroñ kā hijāb oḌhe
raat bhī raat bhar meñ guzrī hai
kuchh na.e mausamoñ kī pahlī raat
os ke ik safar meñ guzrī hai
ik ḳhushī mere zehn se ho kar
āñsuoñ ke pahar meñ guzrī hai
zindagi ek safar mein guzri hai
'umr bhi 'umr bhar mein guzri hai
chand ki bewafai ke sadqe
chandni dopahar mein guzri hai
hasrat-e-rabt dil mein le kar ke
sham wa'don ke ghar mein guzri hai
ek qasida ghazal pe ruKH karun to
har KHushi chashm-e-tar mein guzri hai
gham-zada taron ka hijab oDhe
raat bhi raat bhar mein guzri hai
kuchh nae mausamon ki pahli raat
os ke ek safar mein guzri hai
ek KHushi mere zehn se ho kar
aansuon ke pahar mein guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.