zindagi insan ki ek dam ke siwa kuchh bhi nahin
Interesting Fact
From Part-2: 1905-1908 (Bang-e-Dara)
zindagī insāñ kī ik dam ke sivā kuchh bhī nahīñ
dam havā kī mauj hai ram ke sivā kuchh bhī nahīñ
gul tabassum kah rahā thā zindagānī ko magar
sham' bolī girya-e-ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ
rāz-e-hastī raaz hai jab tak koī mahram na ho
khul gayā jis dam to mahram ke sivā kuchh bhī nahīñ
zā.irān-e-kā'ba se 'iqbāl' ye pūchhe koī
kyā haram kā tohfa zamzam ke sivā kuchh bhī nahīñ
zindagi insan ki ek dam ke siwa kuchh bhi nahin
dam hawa ki mauj hai ram ke siwa kuchh bhi nahin
gul tabassum kah raha tha zindagani ko magar
sham' boli girya-e-gham ke siwa kuchh bhi nahin
raaz-e-hasti raaz hai jab tak koi mahram na ho
khul gaya jis dam to mahram ke siwa kuchh bhi nahin
zairan-e-ka'ba se 'iqbaal' ye puchhe koi
kya haram ka tohfa zamzam ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.