zindagi ishq ke mazhab mein bitana chahen
zindagi ishq ke mazhab mein bitana chahen
Bushra Bakhtiyar Khan
MORE BYBushra Bakhtiyar Khan
zindagī ishq ke maz.hab meñ bitānā chāheñ
ham tire saath kabhī chāñd pe jaanā chāheñ
ham qavānīn-e-mohabbat meñ tujhe le aa.eñ
ham tire naam kā ik mulk basānā chāheñ
ham ye chāheñ ki tire husn ke parde kholeñ
ham tire ḳhvāb farishtoñ ko dikhānā chāheñ
us kī āñkhoñ meñ basar karte raheñ umr ke ḳhvāb
us kī sāñsoñ se hī ab saañs baḌhānā chāheñ
jānte haiñ ki use dekh ke mar jā.eñge
phir bhī us shaḳhs se ham aañkh milānā chāheñ
vo jo ik jaan kā dushman hai usī ko 'bushrā'
apnī ye umr bhī ab us ko lagānā chāheñ
zindagi ishq ke mazhab mein bitana chahen
hum tere sath kabhi chand pe jaana chahen
hum qawanin-e-mohabbat mein tujhe le aaen
hum tere nam ka ek mulk basana chahen
hum ye chahen ki tere husn ke parde kholen
hum tere KHwab farishton ko dikhana chahen
us ki aankhon mein basar karte rahen umr ke KHwab
us ki sanson se hi ab sans baDhana chahen
jaante hain ki use dekh ke mar jaenge
phir bhi us shaKHs se hum aankh milana chahen
wo jo ek jaan ka dushman hai usi ko 'bushra'
apni ye umr bhi ab us ko lagana chahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.