zindagi jaan-ba-lab tamashai
zindagī jāñ-ba-lab tamāshā.ī
Das rahā hai sukūt-e-tanhā.ī
chār-sū āñsuoñ ke jalte diip
shām-e-ġhurbat mujhe kahāñ laa.ī
duur tak ik muhīb sannāTā
nauha-e-ġham na koī shahnā.ī
kitne dār-o-rasan se guzre haiñ
tere dar tak tire tamannā.ī
zindagi jaan-ba-lab tamashai
Das raha hai sukut-e-tanhai
chaar-su aansuon ke jalte dip
sham-e-ghurbat mujhe kahan lai
dur tak ek muhib sannaTa
nauha-e-gham na koi shahnai
kitne dar-o-rasan se guzre hain
tere dar tak tere tamannai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.