zindagi jab qaza se milti hai
zindagī jab qazā se miltī hai
haa.e kitnī vafā se miltī hai
maiñ bhī chup-chāp dekhtā huuñ bas
merī aadat ḳhudā se miltī hai
mere lab par rakhī ḳhamoshī bhī
shor kī intihā se miltī hai
vo mirī raah meñ na aa jaa.e
vo mire rahnumā se miltī hai
baiTh jaatī hai piiTh de ke mujhe
zindagī is adā se miltī hai
shahr par āfateñ na paḌ jaa.eñ
aag jā kar havā se miltī hai
zindagi jab qaza se milti hai
hae kitni wafa se milti hai
main bhi chup-chap dekhta hun bas
meri aadat KHuda se milti hai
mere lab par rakhi KHamoshi bhi
shor ki intiha se milti hai
wo meri rah mein na aa jae
wo mere rahnuma se milti hai
baiTh jati hai piTh de ke mujhe
zindagi is ada se milti hai
shahr par aafaten na paD jaen
aag ja kar hawa se milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.