zindagi jab talak tamam na ho
zindagī jab talak tamām na ho
rāste meñ kahīñ qiyām na ho
ghar meñ rishte bikhar chuke lekin
dushmanoñ meñ ḳhabar ye 'aam na ho
kuchh ta'alluq nahīñ nahīñ na sahī
ḳhatm lekin du'ā salām na ho
nafratoñ par lagāo pābandī
pyaar par koī rok-thām na ho
hañste hañste chalo judā ho jaa.eñ
āñsuoñ par safar tamām na ho
zindagi jab talak tamam na ho
raste mein kahin qiyam na ho
ghar mein rishte bikhar chuke lekin
dushmanon mein KHabar ye 'am na ho
kuchh ta'alluq nahin nahin na sahi
KHatm lekin du'a salam na ho
nafraton par lagao pabandi
pyar par koi rok-tham na ho
hanste hanste chalo juda ho jaen
aansuon par safar tamam na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.