zindagi jaisi bhi haalat mein jahan guzri hai
zindagī jaisī bhī hālat meñ jahāñ guzrī hai
tere hamrāh na hone se garāñ guzrī hai
aag bhaḌkegī gulistāñ meñ dhuāñ phailegā
phir nasheman se tire barq-e-tapāñ guzrī hai
dil kī gahrā.ī kā andāza tujhe kyā hogā
kab tire sar se koī mauj-e-ravāñ guzrī hai
uf ye ayyām-e-za.īfī ke sisakte lamhe
haa.e vo daur ki jab umr-e-javāñ guzrī hai
koī batlā de 'asīr' un ko unhī kī galiyāñ
pūchhte haiñ ki tirī umr kahāñ guzrī hai
zindagi jaisi bhi haalat mein jahan guzri hai
tere hamrah na hone se garan guzri hai
aag bhaDkegi gulistan mein dhuan phailega
phir nasheman se tere barq-e-tapan guzri hai
dil ki gahrai ka andaza tujhe kya hoga
kab tere sar se koi mauj-e-rawan guzri hai
uf ye ayyam-e-zaifi ke sisakte lamhe
hae wo daur ki jab umr-e-jawan guzri hai
koi batla de 'asir' un ko unhi ki galiyan
puchhte hain ki teri umr kahan guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.