zindagi jine ka yun humne sahaara kar liya
zindagī jiine kā yuuñ ham ne sahārā kar liyā
un kā har tīr-e-sitam hañs kar gavārā kar liyā
zehn meñ mahfūz haiñ jalve abhī us shoḳh ke
dil pareshāñ jab huā un kā nazāra kar liyā
dostoñ meñ koī bhī merā nahīñ thā ham-ḳhayāl
is liye ahbāb se maiñ ne kināra kar liyā
ek patthar dil se Takrā.e to ye lagne lagā
ham ne ḳhud apne jigar ko pāra-pāra kar liyā
dekhne vaale bahut the koī samjhā hī nahīñ
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ us ne khel saarā kar liyā
jo muqaddar meñ nahīñ thā us ko paane ke liye
is qadar uljhe ke ḳhud apnā ḳhasāra kar liyā
ham faqīroñ ko nahīñ kuchh tar-nivāloñ se ġharaz
rūkhī sūkhī khā ke bhī apnā guzāra kar liyā
us ne taqrīroñ se apnī nafrateñ phailā.īñ thiiñ
shā.irī se ham ne qaa.em bhā.ī-chāra kar liyā
zindagī bhar saath ab us kā nibhānā hai tumheñ
jis ne apne naam 'rahbar' ġham tumhārā kar liyā
zindagi jine ka yun hum ne sahaara kar liya
un ka har tir-e-sitam hans kar gawara kar liya
zehn mein mahfuz hain jalwe abhi us shoKH ke
dil pareshan jab hua un ka nazara kar liya
doston mein koi bhi mera nahin tha ham-KHayal
is liye ahbab se main ne kinara kar liya
ek patthar dil se Takrae to ye lagne laga
hum ne KHud apne jigar ko para-para kar liya
dekhne wale bahut the koi samjha hi nahin
aankhon hi aankhon mein us ne khel sara kar liya
jo muqaddar mein nahin tha us ko pane ke liye
is qadar uljhe ke KHud apna KHasara kar liya
hum faqiron ko nahin kuchh tar-niwalon se gharaz
rukhi sukhi kha ke bhi apna guzara kar liya
us ne taqriron se apni nafraten phailain thin
shairi se hum ne qaem bhai-chaara kar liya
zindagi bhar sath ab us ka nibhana hai tumhein
jis ne apne nam 'rahbar' gham tumhaara kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.