zindagi jis ka nam hai yaro
zindagī jis kā naam hai yaaro
qissa-e-nā-tamām hai yaaro
aadmī ko davām ho ki na ho
ādmiyyat davām hai yaaro
khilte jaate haiñ phuul rāhoñ meñ
kaun mahv-e-ḳhirām hai yaaro
zindagī kā koī maqām nahīñ
zindagī ḳhud maqām hai yaaro
ek vaqtī surūr-e-bulhavasī
'ishq kaif-e-davām hai yaaro
kār-e-yazdāñ jise samajhte ho
vo tumhārā hī kaam hai yaaro
magar duniyā ba-maslahat bhī ġhalat
diin isī kā to naam hai yaaro
zindagī merā saath de ki na de
maut mujh par harām hai yaaro
'azm mazbūt hausle mohkam
vaqt kis shai kā naam hai yaaro
fikr-e-'anjum' ko shā'irī na kaho
ek ġhaibī payām hai yaaro
zindagi jis ka nam hai yaro
qissa-e-na-tamam hai yaro
aadmi ko dawam ho ki na ho
aadmiyyat dawam hai yaro
khilte jate hain phul rahon mein
kaun mahw-e-KHiram hai yaro
zindagi ka koi maqam nahin
zindagi KHud maqam hai yaro
ek waqti surur-e-bulhawasi
'ishq kaif-e-dawam hai yaro
kar-e-yazdan jise samajhte ho
wo tumhaara hi kaam hai yaro
magar duniya ba-maslahat bhi ghalat
din isi ka to nam hai yaro
zindagi mera sath de ki na de
maut mujh par haram hai yaro
'azm mazbut hausle mohkam
waqt kis shai ka nam hai yaro
fikr-e-'anjum' ko sha'iri na kaho
ek ghaibi payam hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.