zindagi jo kah na pai rah gai
zindagī jo kah na paa.ī rah ga.ī
maut vo saarī kahānī kah ga.ī
raat bhar us kā fasāna likh ke ham
itnā ro.e sab kitābat bah ga.ī
hichkiyoñ meñ dab gayā us kā savāl
jaise ik dastak adhūrī rah ga.ī
qurb ke sadme huuñ yā duurī kā ġham
jitnā sahnā thā mohabbat sah ga.ī
jab bhī 'āzar' dil se niklī koī baat
dil kī gahrā.ī meñ tah-dar-tah ga.ī
zindagi jo kah na pai rah gai
maut wo sari kahani kah gai
raat bhar us ka fasana likh ke hum
itna roe sab kitabat bah gai
hichkiyon mein dab gaya us ka sawal
jaise ek dastak adhuri rah gai
qurb ke sadme hun ya duri ka gham
jitna sahna tha mohabbat sah gai
jab bhi 'azar' dil se nikli koi baat
dil ki gahrai mein tah-dar-tah gai
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 67)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.