zindagi ka hai ye bhi koi Dhang
zindagī kā hai ye bhī koī Dhañg
na koī aarzū na koī umañg
hosh kā tuur yā ḳhirad kā rañg
āshiqī ke liye haiñ donoñ nañg
aql hairāñ hai aur fikr hai dañg
jalva aur vo bhī sar-ba-sar be-rañg
sulh-e-kul ishq kā har ik andāz
husn kī har adā payām-e-jañg
abhī jiite haiñ ahrman-zāde
abhī barpā hai ḳhair-o-shar kī jañg
allāh allāh ye husn kā aalam
phuul jaise khile hoñ rañgā-rañg
qahqahe un ke sāġharoñ kī khanak
muskurāhaT tulū-e-sub.h kā rañg
kitnī rañgīn hai ġhazal terī
bañdh gayā bazm meñ 'jamālī' rañg
zindagi ka hai ye bhi koi Dhang
na koi aarzu na koi umang
hosh ka tur ya KHirad ka rang
aashiqi ke liye hain donon nang
aql hairan hai aur fikr hai dang
jalwa aur wo bhi sar-ba-sar be-rang
sulh-e-kul ishq ka har ek andaz
husn ki har ada payam-e-jang
abhi jite hain ahrman-zade
abhi barpa hai KHair-o-shar ki jang
allah allah ye husn ka aalam
phul jaise khile hon ranga-rang
qahqahe un ke sagharon ki khanak
muskurahaT tulu-e-subh ka rang
kitni rangin hai ghazal teri
bandh gaya bazm mein 'jamali' rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.