zindagi ka har nafas mamnun hai tadbir ka
zindagī kā har nafas mamnūn hai tadbīr kā
vā.izo dhokā na do insān ko taqdīr kā
apnī sannā.ī kī tujh ko laaj bhī hai yā nahīñ
ai musavvir dekh rañg uḌne lagā tasvīr kā
aap kyuuñ ghabrā ga.e ye aap ko kyā ho gayā
merī aahoñ se koī rishta nahīñ tāsīr kā
dil se nāzuk shai se kab tak ye harīfāna sulūk
dekh shīsha TuuTā jaatā hai tirī tasvīr kā
har nafas kī āmad-o-shud par ye hotī hai ḳhushī
ek halqa aur bhī kam ho gayā zanjīr kā
farq itnā hai ki tū parde meñ aur maiñ be-hijāb
varna maiñ aks-e-mukammal huuñ tirī tasvīr kā
zindagi ka har nafas mamnun hai tadbir ka
waizo dhoka na do insan ko taqdir ka
apni sannai ki tujh ko laj bhi hai ya nahin
ai musawwir dekh rang uDne laga taswir ka
aap kyun ghabra gae ye aap ko kya ho gaya
meri aahon se koi rishta nahin tasir ka
dil se nazuk shai se kab tak ye harifana suluk
dekh shisha TuTa jata hai teri taswir ka
har nafas ki aamad-o-shud par ye hoti hai KHushi
ek halqa aur bhi kam ho gaya zanjir ka
farq itna hai ki tu parde mein aur main be-hijab
warna main aks-e-mukammal hun teri taswir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.