zindagi ka hausla
zindagī kā hausla
bār-e-ġham uThā liyā
aur kuchh qarīb aa
qurb meñ hai fāsla
kis kī yaad aa ga.ī
dil dhaḌak dhaḌak uThā
tishna-lab nafas nafas
zindagī hai karbalā
jagmagā.e bām-o-dar
ghar meñ kaun aa gayā
chāñdnī bahār kī
dil udaas ho gayā
kitnā ḳhush-nasīb huuñ
dil milā dukhā huā
aaj phir 'vashishT' jī
koī ras-bharī kathā
zindagi ka hausla
bar-e-gham uTha liya
aur kuchh qarib aa
qurb mein hai fasla
kis ki yaad aa gai
dil dhaDak dhaDak uTha
tishna-lab nafas nafas
zindagi hai karbala
jagmagae baam-o-dar
ghar mein kaun aa gaya
chandni bahaar ki
dil udas ho gaya
kitna KHush-nasib hun
dil mila dukha hua
aaj phir 'washishT' ji
koi ras-bhari katha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.