zindagi ka hisab bhi to ho
zindagī kā hisāb bhī to ho
koī aisī kitāb bhī to ho
kyā karūñ us ke maiñ savāloñ kā
mo'atabar sā javāb bhī to ho
justujū meñ ho jis kī saarā jahāñ
vo hasīñ intiḳhāb bhī to ho
us se milne to jā rahe ho magar
haath meñ ik gulāb bhī to ho
sab luTā deñge tere kahne par
kuchh mujhe dastiyāb bhī to ho
jis ko piine se maiñ bahak na sakūñ
aisī koī sharāb bhī to ho
jis ko dekhūñ to dekhtā hī rahūñ
husn kā vo shabāb bhī to ho
Dūbne ke liye zarūrī hai
us kī āñkhoñ meñ aab bhī to ho
jis ke khulne se ilm raushan ho
azmatoñ kā vo baab bhī to ho
us ke aiboñ pe Dālne ke liye
ek muTThī 'turāb' bhī to ho
zindagi ka hisab bhi to ho
koi aisi kitab bhi to ho
kya karun us ke main sawalon ka
mo'atabar sa jawab bhi to ho
justuju mein ho jis ki sara jahan
wo hasin intiKHab bhi to ho
us se milne to ja rahe ho magar
hath mein ek gulab bhi to ho
sab luTa denge tere kahne par
kuchh mujhe dastiyab bhi to ho
jis ko pine se main bahak na sakun
aisi koi sharab bhi to ho
jis ko dekhun to dekhta hi rahun
husn ka wo shabab bhi to ho
Dubne ke liye zaruri hai
us ki aankhon mein aab bhi to ho
jis ke khulne se ilm raushan ho
azmaton ka wo bab bhi to ho
us ke aibon pe Dalne ke liye
ek muTThi 'turab' bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.