zindagi ka kuchh sahaara chahiye
zindagī kā kuchh sahārā chāhiye
haath meñ dāman tumhārā chāhiye
dil ko yūñhī raushnī miltī nahīñ
nok-e-mizhgāñ par sitārā chāhiye
muskurā deñge yahī aañsū mire
gosha-e-dāman tumhārā chāhiye
ham badal sakte haiñ nazm-e-kā.enāt
terī jānib se ishārā chāhiye
chashm-e-‘shā.ir’ yuuñ na pā.egī sukūñ
jalva jalva āshkāra chāhiye
zindagi ka kuchh sahaara chahiye
hath mein daman tumhaara chahiye
dil ko yunhi raushni milti nahin
nok-e-mizhgan par sitara chahiye
muskura denge yahi aansu mere
gosha-e-daman tumhaara chahiye
hum badal sakte hain nazm-e-kaenat
teri jaanib se ishaara chahiye
chashm-e-‘shair’ yun na paegi sukun
jalwa jalwa aashkara chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.