zindagi ka safar kaThan hai bahut
zindagī kā safar kaThan hai bahut
chal rahī huuñ magar thakan hai bahut
yuuñ to kahne ko hai sharīk-e-safar
phir bhī lekin akelā-pan hai bahut
go ḳhulūs-o-vafā kā hai paikar
us ke lahje meñ par chubhan hai bahut
yaad oḌhī huī hai us kī yuuñ
laash ko jaise ik kafan hai bahut
zindagī hai ajiib uljhan meñ
jī rahī huuñ magar ghuTan hai bahut
maiñ mukammal kabhī na ho paa.ī
zindagī meñ adhūrā-pan hai bahut
ḳhaak huuñ maiñ zamīñ hai merā nasīb
phir bhī uḌne kī kyuuñ lagan hai bahut
zindagī kis kī yaad meñ 'rūbī'
muddatoñ se tirī magan hai bahut
zindagi ka safar kaThan hai bahut
chal rahi hun magar thakan hai bahut
yun to kahne ko hai sharik-e-safar
phir bhi lekin akela-pan hai bahut
go KHulus-o-wafa ka hai paikar
us ke lahje mein par chubhan hai bahut
yaad oDhi hui hai us ki yun
lash ko jaise ek kafan hai bahut
zindagi hai ajib uljhan mein
ji rahi hun magar ghuTan hai bahut
main mukammal kabhi na ho pai
zindagi mein adhura-pan hai bahut
KHak hun main zamin hai mera nasib
phir bhi uDne ki kyun lagan hai bahut
zindagi kis ki yaad mein 'rubi'
muddaton se teri magan hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.