zindagi ka singhaar hain hum log
zindagī kā siñghār haiñ ham log
ya.anī jān-e-bahār haiñ ham log
apnī taqdīr ḳhud banā.ī hai
apne parvardigār haiñ ham log
ai ḳhudā apnī pahlī ġhalatī par
aaj tak sharmsār haiñ ham log
saarā aalam thā muntazir apnā
hāsil-e-intizār haiñ ham log
be-sutūñ kyā hai kuchh nahīñ 'hāmid'
tesha-e-āb-dār haiñ ham log
zindagi ka singhaar hain hum log
yani jaan-e-bahaar hain hum log
apni taqdir KHud banai hai
apne parwardigar hain hum log
ai KHuda apni pahli ghalati par
aaj tak sharmsar hain hum log
sara aalam tha muntazir apna
hasil-e-intizar hain hum log
be-sutun kya hai kuchh nahin 'hamid'
tesha-e-ab-dar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.