zindagi kaamyab do baba
zindagī kāmyāb do baabā
yā Takā sā javāb do baabā
ho sake to kabhī masarrat kā
merī āñkhoñ ko ḳhvāb do baabā
ḳhaar se ho na vāsta jis kā
koī aisā gulāb do baabā
ho ke be-parda khāoge nashtar
apne ruḳh ko naqāb do baabā
kis qadr ye anarchy har-sū
ho sake to hisāb do baabā
maiñ haqīqat ko pā ke huuñ ġhamgīñ
ḳhūbsūrat sarāb do baabā
hosh se bhī jo kar de begāna
koī aisī sharāb do baabā
maiñ samundar meñ rah ke tishna huuñ
mujh ko ḳhushiyoñ kā aab do baabā
is sadī ko bhī ab ḳhudā ke liye
ik sunahrā sā baab do baabā
baḳht kī tīrgī sahūñ hañs kar
kam se kam itnī taab do baabā
zor jo toḌ de ta.assub kā
koī aisā nisāb do baabā
zindagi kaamyab do baba
ya Taka sa jawab do baba
ho sake to kabhi masarrat ka
meri aankhon ko KHwab do baba
KHar se ho na wasta jis ka
koi aisa gulab do baba
ho ke be-parda khaoge nashtar
apne ruKH ko naqab do baba
kis qadr ye anarchy har-su
ho sake to hisab do baba
main haqiqat ko pa ke hun ghamgin
KHubsurat sarab do baba
hosh se bhi jo kar de begana
koi aisi sharab do baba
main samundar mein rah ke tishna hun
mujh ko KHushiyon ka aab do baba
is sadi ko bhi ab KHuda ke liye
ek sunahra sa bab do baba
baKHt ki tirgi sahun hans kar
kam se kam itni tab do baba
zor jo toD de tassub ka
koi aisa nisab do baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.