zindagi kahe koi tishnagi samajh lena
zindagī kahe koī tishnagī samajh lenā
merī bahkī bātoñ ko āshiqī samajh lenā
zindagī ke dāman meñ maut rahtī hai yaaro
maut khultī jā.egī zindagī samajh lenā
aisī gahrī āñkheñ haiñ Duub jāoge andar
chhoḌo is samundar ko phir kabhī samajh lenā
sahrā kī harārat meñ dhuup jagmagātī hai
saayā jo dikhe koī ajnabī samajh lenā
zindagi kahe koi tishnagi samajh lena
meri bahki baaton ko aashiqi samajh lena
zindagi ke daman mein maut rahti hai yaro
maut khulti jaegi zindagi samajh lena
aisi gahri aankhen hain Dub jaoge andar
chhoDo is samundar ko phir kabhi samajh lena
sahra ki hararat mein dhup jagmagati hai
saya jo dikhe koi ajnabi samajh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.