zindagi kaT gai sarabon mein
zindagī kaT ga.ī sarāboñ meñ
ḳhud ko DhūñDā kiye kitāboñ meñ
zindagī dekh le nazar bhar ke
ham haiñ shāmil tire ḳharāboñ meñ
har nasha thā lahū kī garmī se
ab vo mastī kahāñ sharāboñ meñ
muḳhtasar ye ki kaT gayā rasta
kuchh gunāhoñ meñ kuchh savāboñ meñ
dard kī dāstāñ adhūrī hai
ham ko rakh lījiye hisāboñ meñ
kyuuñ samundar meñ shor hai barpā
kaun rahtā hai in habāboñ meñ
dil ke tāroñ se dard uThtā hai
soz hotā nahīñ rubāboñ meñ
zindagi kaT gai sarabon mein
KHud ko DhunDa kiye kitabon mein
zindagi dekh le nazar bhar ke
hum hain shamil tere KHarabon mein
har nasha tha lahu ki garmi se
ab wo masti kahan sharabon mein
muKHtasar ye ki kaT gaya rasta
kuchh gunahon mein kuchh sawabon mein
dard ki dastan adhuri hai
hum ko rakh lijiye hisabon mein
kyun samundar mein shor hai barpa
kaun rahta hai in hababon mein
dil ke taron se dard uThta hai
soz hota nahin rubabon mein
- Book : Khwab Patthar Ho Gaye (Pg. 33)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Skylark House of Publications, 52 Shiv Vihar, Sector-1, Jankipuram, Lucknow-21 (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.