zindagi ke daman mein rang-o-nur-o-nikhat kya
zindagī ke dāman meñ rañg-o-nūr-o-nik.hat kyā
ḳhvāb hī to dekhā hai ḳhvāb kī haqīqat kyā
dil bhī qufl-e-abjad hai ek naam pūchhe hai
jaan le to khul jaa.e āḳhir is meñ hairat kyā
aap ke ravayya par ḳhush-gumāniyāñ kaisī
koī maslahat hogī varna ye ināyat kyā
chob-e-ḳhushk sahrā huuñ aur aarzū gul kī
sādgī se baḌh kar bhī hai koī himāqat kyā
paas kā añdherā bhī aas kā ujālā bhī
log isī ko kahte haiñ jhuTpuTe kī saa.at kyā
zindagi ke daman mein rang-o-nur-o-nikhat kya
KHwab hi to dekha hai KHwab ki haqiqat kya
dil bhi qufl-e-abjad hai ek nam puchhe hai
jaan le to khul jae aaKHir is mein hairat kya
aap ke rawayya par KHush-gumaniyan kaisi
koi maslahat hogi warna ye inayat kya
chob-e-KHushk sahra hun aur aarzu gul ki
sadgi se baDh kar bhi hai koi himaqat kya
pas ka andhera bhi aas ka ujala bhi
log isi ko kahte hain jhuTpuTe ki saat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.