zindagi ke hasin bahane se
zindagī ke hasīñ bahāne se
maut miltī rahī zamāne se
mausam-e-gul ḳhizāñ-mizāj sahī
mar ke nikleñge āshiyāne se
ishq kī aag ai ma.āz-allāh
na kabhī dab sakī dabāne se
razm-e-dair-o-haram se tañg aa kar
dil lagāyā sharāb-ḳhāne se
fā.eda kyā hai be-shu.ūroñ ko
naġhma-e-ārzū sunāne se
jab zamāne kā ġham uThā na sake
ham hī ḳhud uTh ga.e zamāne se
zindagi ke hasin bahane se
maut milti rahi zamane se
mausam-e-gul KHizan-mizaj sahi
mar ke niklenge aashiyane se
ishq ki aag ai maaz-allah
na kabhi dab saki dabane se
razm-e-dair-o-haram se tang aa kar
dil lagaya sharab-KHane se
faeda kya hai be-shuuron ko
naghma-e-arzu sunane se
jab zamane ka gham uTha na sake
hum hi KHud uTh gae zamane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.