zindagi ke nam par dhoka hua achchha hua
zindagī ke naam par dhokā huā achchhā huā
jo huā jo bhī huā jaisā huā achchhā huā
khā rahā thā dhīre dhīre ye sukūt-e-jāñ mujhe
mahshar-e-jāñ jā-ba-jā barpā huā achchhā huā
ho ke bāġhī aañkh se aañsū girā ruḳhsār par
sohbat-e-hijrāñ vahī dariyā huā achchhā huā
le rahī thī siskiyāñ qirtās par tahrīr-e-jāñ
zā.iqa tahrīr kā kaḌvā huā achchhā huā
uñgliyāñ uThne lagīñ thiiñ hasrat-e-be-nām par
hasratoñ kā aks ab dhuñdlā huā achchhā huā
thī mazār-e-ishq par minnat kī chādar kī tarah
zindagī terā yahāñ saudā huā achchhā huā
jis mohabbat ke liye duniyā ko Thokar maar dī
aaj us ke naam par rusvā huā achchhā huā
kab talak rahtā salāmat muḳhlisī kā pairahan
gardishoñ ke haath ye melā huā achchhā huā
hosh meñ rahte hue mad.hosh thā sochā nahīñ
rah gayā maiñ jā-ba-jā bikhrā huā achchhā huā
kah ga.ī mauj-e-'nasīmī' dekh kar chehrā mirā
ho gayā dār-o-rasan likkhā huā achchhā huā
zindagi ke nam par dhoka hua achchha hua
jo hua jo bhi hua jaisa hua achchha hua
kha raha tha dhire dhire ye sukut-e-jaan mujhe
mahshar-e-jaan ja-ba-ja barpa hua achchha hua
ho ke baghi aankh se aansu gira ruKHsar par
sohbat-e-hijran wahi dariya hua achchha hua
le rahi thi siskiyan qirtas par tahrir-e-jaan
zaiqa tahrir ka kaDwa hua achchha hua
ungliyan uThne lagin thin hasrat-e-be-nam par
hasraton ka aks ab dhundla hua achchha hua
thi mazar-e-ishq par minnat ki chadar ki tarah
zindagi tera yahan sauda hua achchha hua
jis mohabbat ke liye duniya ko Thokar mar di
aaj us ke nam par ruswa hua achchha hua
kab talak rahta salamat muKHlisi ka pairahan
gardishon ke hath ye mela hua achchha hua
hosh mein rahte hue madhosh tha socha nahin
rah gaya main ja-ba-ja bikhra hua achchha hua
kah gai mauj-e-'nasimi' dekh kar chehra mera
ho gaya dar-o-rasan likkha hua achchha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.