zindagi ke sare mausam aa ke ruKHsat ho gae
zindagi ke sare mausam aa ke ruKHsat ho gae
Aziz Bano Darab Wafa
MORE BYAziz Bano Darab Wafa
zindagī ke saare mausam aa ke ruḳhsat ho ga.e
merī āñkhoñ meñ kahīñ barsāt baaqī rah ga.ī
aas kā sūraj to saarī zindagī niklā magar
din ke andar jaane kaise raat baaqī rah ga.ī
ā.īna-ḳhāna banā ke jis ne toḌā thā mujhe
merī kirchoñ meñ usī kī zaat baaqī rah ga.ī
merā ik ik lafz mujh se chhīn kar vo le gayā
jis ke kāran aaj tak vo baat baaqī rah ga.ī
zindagi ke sare mausam aa ke ruKHsat ho gae
meri aankhon mein kahin barsat baqi rah gai
aas ka suraj to sari zindagi nikla magar
din ke andar jaane kaise raat baqi rah gai
aaina-KHana bana ke jis ne toDa tha mujhe
meri kirchon mein usi ki zat baqi rah gai
mera ek ek lafz mujh se chhin kar wo le gaya
jis ke karan aaj tak wo baat baqi rah gai
- Book : Goonj (Pg. 120)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.