zindagi ke sarab bhi dekhun
zindagī ke sarāb bhī dekhūñ
niind aa.e to ḳhvāb bhī dekhūñ
raat kāTūñ kisī ḳharābe meñ
muñh añdhere gulāb bhī dekhūñ
harf-e-tāza varaq varaq likkhūñ
saada dil kī kitāb bhī dekhūñ
Duub jā.ūñ kisī samundar meñ
phir jazīroñ ke ḳhvāb bhī dekhūñ
zindagī meñ himāqateñ bhī karūñ
us kā phir sadd-e-bāb bhī dekhūñ
aaj dil kī bayāz meñ likh kar
lafz ḳhāna-ḳharāb bhī dekhūñ
pyaas dil kī bujhā.ūñ āñkhoñ se
raqs karte habāb bhī dekhūñ
zindagi ke sarab bhi dekhun
nind aae to KHwab bhi dekhun
raat kaTun kisi KHarabe mein
munh andhere gulab bhi dekhun
harf-e-taza waraq waraq likkhun
sada dil ki kitab bhi dekhun
Dub jaun kisi samundar mein
phir jaziron ke KHwab bhi dekhun
zindagi mein himaqaten bhi karun
us ka phir sadd-e-bab bhi dekhun
aaj dil ki bayaz mein likh kar
lafz KHana-KHarab bhi dekhun
pyas dil ki bujhaun aankhon se
raqs karte habab bhi dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.