zindagi KHwab ki tarah dekhi
zindagī ḳhvāb kī tarah dekhī
naav girdāb kī tarah dekhī
merī uryāniyoñ ko Dhāñp liyā
gard kam-ḳhvāb kī tarah dekhī
umr bhar chheḌtī rahī ham ko
saañs mizrāb kī tarah dekhī
rāste kī thakan bhī kāñdhe par
māl-o-asbāb kī tarah dekhī
ishq ne us ko raakh kar Daalā
barf tezāb kī tarah dekhī
ġharq ho ho ga.e pasīne meñ
dhuup sailāb kī tarah dekhī
ham ne zinda-dilī 'muzaffar' meñ
ahl-e-punjab kī tarah dekhī
zindagi KHwab ki tarah dekhi
naw girdab ki tarah dekhi
meri uryaniyon ko Dhanp liya
gard kam-KHwab ki tarah dekhi
umr bhar chheDti rahi hum ko
sans mizrab ki tarah dekhi
raste ki thakan bhi kandhe par
mal-o-asbab ki tarah dekhi
ishq ne us ko rakh kar Dala
barf tezab ki tarah dekhi
gharq ho ho gae pasine mein
dhup sailab ki tarah dekhi
hum ne zinda-dili 'muzaffar' mein
ahl-e-punjab ki tarah dekhi
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 219)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.